Kya aap jaante hain ki aaj se karib 200 saal pehle tomato ketchup ko dava ki tarah becha jaata tha.
1800 ke shuruwati salon mein ketchup ko mushroom aur machhli se banaya jaata tha aur tamatar ko jahrili sabji mana jaata tha.
Magar saal 1834 mein Doctor John Cook Bainet ne ketchup mein tamatar daalna shuru kiya aur logon se tamatar ke istemaal se kai gambhir bimariyon ke ilaaj ki baat kahi.
Iske baad Alexander Miles John ke saath milkar ise dava ke roop mein bechne lage.